Kiu Ghalib?
Har pal tanhai me, Na Jane tu kya sochta hai Ghalib? Ye din, saal, Umar sab kispe, Na Jane kiu tu bitata hai Ghalib Aise jo bhi pal hain tere pass, Na Jane Kiu kisi aur par lutata hai tu Ghalib? Na Jane is tanhai bahre lamho me, Tu khush kaise ho Jata hai Ghalib? Mai to Yun hi khada rahta hun unke intezar me, Bas unki ek jhalak pane ko, Subah se sham aur sham se Subah, Na jane ye waqt kab gujar Jata Hai Ghalib, Jane kiu unse rubaroo hone main, Yun intezar kiye reh jata Hun Ghalib. Mai koi anzan nahi, bas Zara sa darta Hun, Mujhe to unke hone ki Kushi hai Ghalib, Unko hai ya nahi bas, kabhi yun hi, yahi soch jata Hun Ghalib Na Jane kitne Sitam hain raste me Lekin, Mai aaj ek baat batlata hun Ghalib, Haseen Lamhe to kitne hi dekhe honge, Par un sa koi Mila hi nahi, Yun siskiyan bharte meri tanhai ki, Kahaniyan tumhe aaj sunata Hun Ghalib, Aaj kal unki gairma...