Kiu Ghalib?

                       


Har pal tanhai me,
Na Jane tu kya sochta hai Ghalib?
Ye din, saal, Umar sab kispe,
Na Jane kiu tu bitata hai Ghalib
Aise jo bhi pal hain tere pass,
Na Jane Kiu kisi aur par lutata hai tu Ghalib?

Na Jane is tanhai bahre lamho me,
Tu khush kaise ho Jata hai Ghalib?
Mai to Yun hi khada rahta hun unke intezar me,
Bas unki ek jhalak pane ko,
Subah se sham aur sham se Subah,
Na jane ye waqt kab gujar Jata Hai Ghalib,
Jane kiu  unse rubaroo hone main,
 Yun intezar kiye reh jata Hun Ghalib.

Mai koi anzan nahi, bas Zara sa darta Hun,
Mujhe to unke hone ki Kushi hai Ghalib,
Unko hai ya nahi bas,
kabhi yun hi, yahi soch jata Hun Ghalib

Na Jane kitne Sitam hain raste me Lekin,
Mai aaj ek baat batlata hun Ghalib,
Haseen Lamhe to kitne hi dekhe honge,
Par un sa koi Mila hi nahi,
Yun siskiyan bharte meri tanhai ki,
 Kahaniyan tumhe aaj sunata Hun Ghalib,
Aaj kal unki gairmajudgi me mai,
Apna AAP se hi baaten kar leta hun.

Meri baatein unko na sunana Ghalib,
Unka koi kusur na tha
Mai to hu hi Awara,
Har mod pe Yun hi dil phekte phitra hun Ghalib!

Na sach, na jhooth, na sankoch
Na raat, na din aur na waqt ka koi dosh
Ab mujhe kisi ki parwah na hai
Jinke sath waqt Yun hi cut jati thi,
Aaj uni ke raah me,
ghadi kuch tham si gayi Hai Ghalib.

Aaj Kal in tanhai bhare pal me,
Na Jane Kya sochta hun Mai Ghalib,
Khule aakash me, din me hi,
Sitare khojne lag Jata hun,
Kabhi kabhi insano ke bajaye,
Peedo se hai guftagoo kar jata hun Ghalib.

Yun to duniya bhot hi badi Hai,
Magar humari to choti si thi,
Phele Jo unke hotoh aur zulfon ke beech phaili Hui thi,
Aaj ek hatheli me simat ke reh gayi Hai Ghalib!

Mai koi shayar nahi,
Na hi koi kavi hun,
Mai to bas Yun hi likhta hun,
Bina Sharab, sabab aur saki ke,
Na Jane, phr bhi kiu itna nashe me dikhta hun Ghalib.

Humara gunah hi Kya Tha Ghalib,
Humne to bas pyar Kiya,
Na kuch socha, aage ya piche,
Be intahan unse iqrar Kiya,
Wo to waqt hi kharab Tha, Jo kuch ho na saka,
Lekin agar humnle mauqa milta,
To is sookhe ke mausam me bhi,
Baris ki guhar lagar dete Ghalib!

Unke Jane ke baad, Mai ye soch raha Tha Ghalib,
Banki aur unme farq Kya Tha,
Banki aaye, dekha aur chal pade apni raah par,
Lekin jab wo aaye, dekha mujhko,
Kam se Kam, nazre mili! aur thoda aitbar to kiya Ghalib.

Hum to Yun hi kush Hai unki yaado me,
Bas har shama ab thoda begana sa lagta Hai,
Zindagi ki is moti kitab se,
Na Jane Kuch Khushi ke kuch paane adhoora lagta Hai!

Tum to there bahot bade se shayar,
Magar, humne koi farq na Hai,
Tum pi ke likhte ho, hum unki yaado me,
Tarika alag Hai lekin safar ek Hai,
Bas farq itna Hai ki tum unke deedar me likhte ho,
Aur hum unke aitbaar me likhte hain Ghalib.

Har pal aisi tanhai ke,
Na Jane, kaise tu bitata Hai Ghalib,
Hum to unke musqaan ho dekh Kar,
Sare Gam bhul jate Hain Ghalib.

Ye dard Kya Hai,
Tumhe aaj mai batlata hun Ghalib,
Wo na kabhi aayenge wapas mujhe ye pata Hai,
Is andhere me bhi, Bina kisi roshini ke,
Aaj bhi unki raah taak jata hun Ghalib.

Comments

Popular posts from this blog

WHY BLOGGING?

India’s Growth in Nehru Era

How to read Murder Mystery